Main kisi aur ki hoon itna bata kar royi Wo mujhe mehndi lage hath dikha kar royi Mujhe mohabbat ka anjaam nahi tha maloom Ye kaha aur mujhe seene se laga kar royi ...Jo mujhe kasam deti thi kabhi na rone ki Wo zamaane ko apna haal suna kar royi Aansu ban kar nikal na jaun kahin, iss Darr se Apne aansuon ko wo aankhoon mein chhupa kar royi Agle janam me hum zaroor ek ho jaayenge Apne dil ko baar baar ye samjhakarroyi Bas wahi aakhri lamha jo Mila tha humein Usi lamhe mein wo sadiyon ko sama kar royi...!!!
No comments:
Post a Comment